Lahron se darkar nauka kabhi paar nahi hoti,
koshish karne walon ki kabhi haar nahi hoti,
nanhi chinti jab dana lekar chalti hai,
chadhti deewaron par sau baar fisalti hai,
manka vishwas ragon me sahas bharta hai,chadhkar girna,
girkar chadhna na akharta hai,
mehnat uski bekar har baar nahi hoti,
mehnat karne walo ki kabhi haar nahi hoti,
dubkiyan sindhu me gotakhor lagata hai,
ja ja kar khali haath laut kar ata hai,
mile na sehaj moti gehare pani me,
badhta duuna vishwas is hairani me,
muthi uski khaali har baar nahi hoti,
koshish karne walon ki kabhi haar nahi hoti,
asaflta ek chunauti hai, sweekar karo,
kya kami reh gayi,
dekho aur sudhar karo,
jab tak safal na ho chain ki neend ka tyago tum,
sangharsh ka maidan mat chod kar bhago tum,
kuch kiye bina jai jai kaar nahi hoti,
koshish karne walon ki kabhi haar nahi hoti.
Friday, December 21, 2007
One of the great Poems from Harivanshrai Srivastav well known as Harivanshrai Bacchan.
-A poem by Great Poet Dr. Harivansh Rai Bachchan
Keep reading and always have a positive attitude because life is beautiful.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment