Friday, November 2, 2007

Ek Kavita Dil se..............................

“ Yu hi ek din zindagi se takra gaya kisi mod pe,
main karna to chahta to kinara usse, Magar akhir takra hi gaya.
Usne bade muskarate hue mujse puchha,
Kya Baat hain, Anand- Mujhe undekha kar rahe ho.
Maine bhi muskara kar utar diya, Jaan bujhkar socha kinara kar loo.
Tum mangogi mujse hisaab kitaab apna,
Kuchh bhi tumhe shayad de na sakunga.
Usne badi masumiyat se uttar diya,
Nahi main tumse hisaab kitab nahi puchhati,
Haa! Bas tumhara haal chaal puchhna chahti thee.
Mujhe pata hai , mujhe bharosa hai tum par,
Tum mujhe yu hi jaya nahi karoge.
Mere har pal ko bharpoor jiyoge.
Vo boli, maine to ye puchhane ke liye tumhe roka tha.
Koi shikayat hain mujse to batao,
Ab mere uttar ki bare thee,
Vo khamosh mujhe nihaar rahee thi,
Maine kaha, samjah nahi aata E! Zindagi tera kaise shukriya Ada karu.
Jo kuchh tune diya uska kaise ehsaan karu.
Usne kahan, Bas kuchh mat kaho,
Mujhe pata hai sab kuchh tum bas aise hi raho.
Aur tab se mai aur meri zindagi har pal , hardam,
Ek saath chalte hain dundane apni manzil ko.”

1 comment:

Unknown said...

NICE KAVITA..."DIL SE" & an equally niceblog!keep up the good work..